Pages

Saturday, October 31, 2009

Main janta tha,"....".

Main janta tha,"....".

Uski hansi ki khi
l khil Par main der tak tairta raha. Uska haath Pakde der tak tairta raha. Uske sang baadlon tak gaya, jo aakash mein dhime dhime tahal rahe the. Uske saath bachpan ki ek tekdi thi. Mere paas bachpan ki barsaat mein bahti ek choti si nadi. Humnein dono paar ki. Ab hum sabse pare the. Jungle, Nadi, Tekdi, pahad. Chand ke agal bagal, Usne dhire se kuch kaha. Maine ghoom kar dekha. Maine kuch kaha, Usne meri taraf mud ke dekha. Usne kaha,"main jaanti thi tum ye kahoge". Maine kaha," main jaanta tha tum ye kahogi". (21 march 2001)

Monday, October 26, 2009

"........."

Agar meri baaton ka yakin nahi hai tumhe
To phir diary ke in panno mein dhoondhti kya ho?

Jab dil ki sada tumko sunai hi nahi deti
To phir in harfo ke maayene poochti kya ho?

Maine to tumko le kar kai sapne bune hai.....lekin
Main nahi jaanta tum mere baare mein sochti kya ho?

* * * * * * * * * * * * * * * *
Ab ke jab koi rishta hi nahi hai mujhse..
Phir yun tanha khamoshiyon mein mujhse baatein karti kya ho............?

Magar aisa ho na saka.........!

Maine to socha tha ke hame
apni mohabbat ka makam mil jaaye,
Jawa dilo ki dhadkano ko
lutfo - quaraar mil jaaye,
Tumhe hamara aur mujhe
tumhara saath mil jaaye.

Maine to socha tha, chaha tha.
magar aisa ho na saka.

Ab to ye haal hai ke-
Tum mere saath nahi ho.. phir bhi
Har waqt- har pal mere saath-saath
rahti ho,
Khi bhi chala jaaun is zamane mein
tum mere saath-saath chalti,
Aur raat ki tanhaaiyon mein
meri ashqon mein tum hi dhalti ho.

Kaun kahta hai ki hum bichde hai?
Ye kah ke main apne dil ko tasalli deta hoon,

Dil-e-masoom kitne hi sawal karta hai
magar mere paas unka koi jawab nahi
Ji mein aata hai ki kuch kahoon tujhse ..
phir ye ahsaas ki tu mere paas nahi.

Tum nahi ho, zindgi se
se koi shiqwa bhi nahi hai,
Magar ye lagta hai..
tu hai kahin to hai.

Dil ne chaha tha ke tera saath mile
Maine bhi socha tha ke... yun ho,

Magar aisa ho na saka.........!

....Ek Baar......

Jis kalam se
tumhare liye behisaab
nazme likhi,nagme likhe,

Tumhare saath nr hi to meri
kalam ki syahi ko
geeli banaye rakha.

Aaj ke jab tum nahi ho
mere saath,
Pata nahi kahan? ye maaloom hota
Mujhe kaash!

Ab mere kalam ki syahi bhi
sookh chuki hai,
Ab kagaz bhi kora rah jaata hai
Har baar,

Kaash ! ke phir se likh sakta ..
"Tumhara naam"
.......................EK Baar...........

Saturday, September 5, 2009

भवानी प्रसाद मिश्र की कविता "सुख का दुख"...beautiful..

जिंदगी में कोई बड़ा सुख नहीं है,
इस बात का मुझे बड़ा दुख नहीं है,
क्योंकि मैं छोटा आदमी हूँ,
बड़े सुख आ जाएं घर में
तो कोई ऎसा कमरा नहीं है जिसमें उन्हें टिका दूं।

यह एक बात
इससे भी बड़ी दर्दनाक बात यह है कि,
बडे सुखों को देख कर
मेरे बच्चे सहम जाते हैं,
मैंने बड़ी कोशिश की है कि उन्हें
सिखा दूं कि सुख कोई डरने की चीज़ नहीं है।
मगर नहीं,
मैंने देखा है कि जब कभी
कोई बड़ा सुख उन्हें मिल गया हैं रास्ते में
बाज़ार में या किसी के घर,
तो उनकी आंखों में खुशी की झलक तो आई है,
किंतु साथ साथ डर भी आ गया है।
बल्कि कहना चाहिये
खुशी झलकी है, डर छा गया है,
उनका उठना उनका बैठना
कुछ भी स्बाभाविक नहीं रह पाता,
और मुझे इतना दुख होता है देख कर
कि मैं उन से कुछ कह नहीं पाता।

मैं उन से कहना चाहता हूं कि बेटा यह सुख हैं,
इससे डरो मत बल्कि बेफिक्री से बढ़ क्र इसे छू लो।
इस झूले के पेंग निराले हैं
बेशक इसपर झूलो,
मगर मेरे बच्चे आगे नहीं बढ़ते
खड़े खड़े ताकते हैं,
अगर कुछ सोच कर मैं उनको उसकी तरफ ढ़केलता हूं
तो चीख मार कर भागते हैं,
बड़े बड़े सुखों की इच्छा
इसीलिये मैंने जाने कब से छोड़ दी है,
कभी एक गगरी उन्हें जमा करने के लिये लाया था
अब मैंने वह फोड़ दी हैं।